Thursday, April 28, 2011

wo shaam mastani....


Wo haseen shaam kya suhani thi..
mere samne mere sapno ki rani thi..
uske chehre se na hat ti thi ye nazar meri...
kya bataun un palon mein kya kahani thi..

Wo mera chedna aur uska muskurana..
palkein jhukana,bin kahe sab keh jana..
mera taarif karna aur uska sharmana..
palak jhapakte hi beet gaya wo lamha suhana..

Gale bhi tumne mujhe isharon mein hi lagaya..
wo haseen sapna haqeeqat na ban paya..
teri madhosh hansi aaj phir mujhe ghayal kar gayi..
mein aashiq to tha hi tera,aaj mujhe pagal kar gayi..

Wo chalte chalte hatheliyon ka mil jana..
aur mere hothon par ek muskaan ka khil jana..
wo thandi hawa mein tere zulfon ka lehrana..
dil kiya tujhe bus dekhta rahun chahe besharam kahe ye zamana..

Na jane kya galat tha kya sahi..
tere jane ke baad bhi nazrein tujhe dhundti rahi..
aaj mene hai bus itna hi jana..
tujhe chahta tha aur chahta rahunga,ab namumkin hai door jana...door jana...