Saturday, January 25, 2014




Janam hua jis desh mein mera, naman mein shish jhukata hoon...
Bharat ka rehne wala hoon, Bharat ki baat batata hoon...

Maharana ki talwar hai ye...
Teresa ka jann pyar hai ye...
Chanakya ki buddhi hai...
Ganga ki shudhi hai. ..

Bhagat singh ka balidaan hai ye..
Basanti chola ka wo gaan hai ye...

Gandhi ki seekh hai...
Shanti ka prateekh hai. ..

Subhash ki lalkaar hai ye..
Khoon ke badle azadi ki chitkaar hai ye...

Rabindranath ke gane hein. ..
Duniya mein jane maane hein...

Meera ki atoot bhakti hai...
Iss bhakti mein anokhi shakti hai ...

Eklavya ki dakshina, guru ki shaan hai...
Ehsaan nahi mera abhimaan hai...

Pyaar ki murat hai ye..
Radha krishna ki surat hai ye...

Geeta ka apaar gyan hai. ..
Shanti, sukh aur dhyaan hai. ..

Guruon ki bhoomi hai. ..
Sri Sri ne chumi hai. .

Duniya ki shaan hai. ..
Meri to jaan hai...
Meri pehchaan hai. ..
Desh to bhagwaan hai. ...

Garv hai mujhe mere desh pe jiski gaurav gatha sunata hoon...
Bhaarat ka rehne wala hoon..Bhaarat ki baat batata hoon...

No comments:

Post a Comment